1 (Ek) 100 Rupees ka Note bohat bara lagta hai jab Masjid / Zarurat mand ko dia jaye,Lekin music / movie CDs Purchase kernay k liye bohat chota par jata hai.
2 hours (Juma / Zikr o Durood ke Mehfil k liye) masjid main bethna bohat bha'ari lagta hai,Lekin film / T.V. dekhte hua bohat he kum lagta hai.
1 (one) day circket k liye log pagal / be-chain ho rahe hote hain, Lekin jab 'KHUTBA' waqt se thora sa ziadah ho jaye to log cheekhnay lagte hain..
15 mins Namaaz ke liye hamaray pass waqt nahi nikalta, Lekin kaee hours hamain fazool debate / bazaaron ma mahsoos nahi hotay.
3 Ayat daily translation k sath parnay ma hamain dushwaari hoti hai,Lekin rozana News/Columns/ Stories etc. ham asani se parh lete hain.
Apnay ilaaj k liye ham be-hisaab paisa kharch karnay par majboor hotay hain,Lekin Sadqa / Zakaat nikalnay k liyae ham bohat ziadah ghabratay ya sochtay hain.
Is jaisi EMAIL ko forward karna bohat mushkil hota hai, jab k fazool EMAILS ko forward karna hamaray liye FUN ban jaata hai.
No comments:
Post a Comment