Wednesday, March 4, 2009
Sab se sakht
Hazrat Ali(Karam ALLAH Wajho)Se Riwayat Hai Ke Unhon Ne Farmaya."Tere Rab Ki Makhlooqat Mein Sab Se Sakht Pahar (Mountains)Hain Magar Unhen Loha Tarash Deta Hai Aur Lohe Ko Aag Kha Jati Hai Aur Aag Ko Pani Bujha Deta Hai.Aur Ye Aasman-O-Zameen Ke Darmian Jo Badal Hain Ye Pani Ko Uthaey Phirtey Hain Lekin....Badalon Ko Hawa Le Jati Hai Aur Hawa Se Insan Do Do Haath Karke Ghalib Aajata Hai Magar Nasha Insan Per Ghalib Aajata Hai Aur Neend Nashe Per Ghalib Aajati Hai Magar Gham Neend Ko Bhi Rok Deta Hai Tou Tere Rab Ki Makhlooq Mein Sab Se Ziada Sakht Ye Gham Hua"Moral:Muaff Karne Aur Aazad Kardene Ki Rawish Ikhtiar Karen Take Na Kisi Ko Gham Dene Ka Sabab Banen Aur Na Khud Ghamzada Hon(JazakALLAH-O-Khaira)
Labels:
Quotes
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment